Posts

Showing posts from August, 2018

Mann tu itna vyathit kyun ha

Mann tu itna vyathit kyun ha Aisa kya tu khoj raha ha Kis vichar ko dho raha ha Kuch aisa jo samajh k par Jiska ha na koi aakar Par lagta sa ha saakaar Jeevan ka jaise adhaar Wah kya jo bhudhi ko b Bhram men dalkar dol raha ha Ruk ruk kar naino se yun Ashru ban bol raha ha Kuch ha, per kuch b nahi ha Vicharheen ek sonch sa wah Uthal puthal karta jeevan ko Bina mol ke tol raha ha Mann tu itna vyathit kyun ha Aisa kya tu khoj raha ha Kis vichar ko dho raha ha