Barish ke baad ki dhoop

Barish ke baad ki dhoop
Jaise dhoodh men naha kar aayi ha

Jisko bhi chuye uska roop nikhaar layi ha
Haryali ko kuch aur hara kar gayi ha

Phoolon ke rangon men ek nayi umang aayi ha
Pheekhe pade Pedon ke patton men bhi rawani chahyi ha

Har taraf ek aseem ujala ha, mann ke antar ko cheerta
Ander bahar ki saari chintaon ko jaise har leta

Barish ke baad ki dhoop
Ek naya vishwas jaga layi ha

Prakriti nikhar nikhar kar khud ko vykat kar rahi ha
Ek khushi ki kiran mann men bhi jag rahi ha

Har rang jaise aur khil utha ha,
Apni khushi ko khud ko gehra kar byan kar raha ha

Sadak b aaj khud ka jalwa dhikane ke liye,
dhoop pi rahi ha auron ko jalane ke liye
Khudko jala kar b khush ha dekho
Barish ke baad ki dhoop ka yeah kaise asar ha dekho

Holi nahi ha fir  bhi rango ki holi le aayi ha,
Har rang ne apni dhos jamane ki si kasam khayi ha

In sab men gehra to us khushi ka rang ha
Jo na dhikne per bhi sabse zyada prachand ha

Sundarta ne jaise ek nayi paribhasha paayi ha
Barish ke baad ki dhoop
Jaise dhoodh men naha kar aayi ha


Comments

Popular posts from this blog

To live long.....become a Politicians.....

Need vs Necessity

Every Struggle in this world is aimed to achieve Freedom