Barish ke baad ki dhoop
Barish ke baad ki dhoop Jaise dhoodh men naha kar aayi ha Jisko bhi chuye uska roop nikhaar layi ha Haryali ko kuch aur hara kar gayi ha Phoolon ke rangon men ek nayi umang aayi ha Pheekhe pade Pedon ke patton men bhi rawani chahyi ha Har taraf ek aseem ujala ha, mann ke antar ko cheerta Ander bahar ki saari chintaon ko jaise har leta Barish ke baad ki dhoop Ek naya vishwas jaga layi ha Prakriti nikhar nikhar kar khud ko vykat kar rahi ha Ek khushi ki kiran mann men bhi jag rahi ha Har rang jaise aur khil utha ha, Apni khushi ko khud ko gehra kar byan kar raha ha Sadak b aaj khud ka jalwa dhikane ke liye, dhoop pi rahi ha auron ko jalane ke liye Khudko jala kar b khush ha dekho Barish ke baad ki dhoop ka yeah kaise asar ha dekho Holi nahi ha fir bhi rango ki holi le aayi ha, Har rang ne apni dhos jamane ki si kasam khayi ha In sab men gehra to us khushi ka rang ha Jo na dhikne per bhi sabse zyada prachand ha Sundarta ne jaise ek nayi paribhasha paayi ha